Saturday 29 October 2016

Waqt ka Andaz-e-bayaan

Waqt ka andaz-e-bayaan dekho,
Her zakhm pe murham laga deta hai..
Aur jab takleef hoti hai kisi ke chale jaane se,
Dard-e-Dil ko ashko me baha deta hai...

Zindagi me Aamaal ke siva rakha hi kya hai,
warna daulat me itni taqat nehi ke Jannat dila sake...

Aur mujhe shak hai ke mera khuda mujhese raazi nehi, Warna suna hai ke,
Ibadat karne se dil ko sukun mil jaata tha...

Hamein tere her waade pe aitbaar hai,
Magar apna amal, tere hukm ka inkar hai...
Agar tu na bakshega Rabul-Kareem, toh kidhar jayenge,
Hamara toh her rom rom gunahgaar hai...

Written by,
Mudassir Kamal

Ishq nehi hota

Dil ek hai toh kai baar kyu lagaya jaye,
Bus ek Ishq bahut hai agar nibhaya jaye...

Her maslak her mohabbat ishq nehi hota,
Sab logo'n ka mazhab ishq nehi hota...

Jism jahan ho, wo sab, ishq nehi hota,
Humse aisa be-adab ishq nehi hota...

Unko mere bhige takye dikhlado,
Jo ye kehte hai ab Ishq nehi hota...

Humdardi ko humdardi samjha jaye,
Her jazbe ka matlab ishq nehi hota...

Sardi aur garmi ke uzzr nehi chalte,
Mausam dekhker sahab ishq nehi hota...

Sabr karenge jab tak ishq nehi hota,
Dekhenge usko, kab tak ishq nehi hota...

Chehre ki saari raunak urd jayegi,
Haste rahiye jab tak Ishq nehi hota....


Author: Shadab Sahab
Present By: Mudassir Kamal