Saturday 31 December 2016

Maa

Bad'dua ko Dua aur Dua ko Dawa karti hai Maa,
Zakhm jaisa bhi ho, her zakhm bhar sakti hai Maa...

Saturday 17 December 2016

Dil pe ikhtiyar rakhta hai uska khayal

Ikhtiyar hai dil pe uska
Koi dil pe is qadar ikhtiyar rakhta hai,
Ke uska hi khayal mera khayal rakhta hai...

Monday 12 December 2016

Khud ki zeenat bhi kitni mohtaj hai!

Dehan-e-Zehan
Khud ki Zeenat bhi kitni mohtaj hoti hai,
Khud hi sajte aur sawarte hai kisi aur ke liye...

Tuesday 29 November 2016

Bech Diya Hindustan

Bahut jhut, Fareb bech diya hai,
Netao ne apna Imaan bech diya hai...

Roti, Kapra aur Makaan, karte karte,
Pura ka Pura, Hindustan bech diya hai...

Apni hi tijori bharte bharte,
Garibo ki chopri bech diya hai...

Khud ki takht aur taaj bachane me,
Kitno ko hatyaar bech diya hai...

Hindustani nehi reh gaye Hindustan me,
Hindu, Muslim karte karte, Saara Hindustan bech diya hai...

Khub ghum chuke hai Desh, Pardesh,
Pata nehi aur kya kya bech diya hai...

Written By : Mudassir Kamal

Monday 21 November 2016

Hindustan ka Siyasaat

Fizao me lal rang ane me, ab deri nehi,
Nafraton ko saja ke hindustan me parosa jaraha hai...

Hindu, Muslim, Sikh, Isaai, pehle the bhai bhai,
Ab Sarkar ne daal di hai, Hum bhaiyo me ladaai...

Koi Musalman se jalta hai, Koi Hinduo me palta hai,
Rajneeti ke chakkar me, Aawaan ko kuchalta hai...

Behad mohabbat hogai hai inhe paiso se, Dosti ameeri se rakhta hai,
Garibi Faqat, faqo aur musibaton se lardta hai...

Written By: Mudassir Kamal


Saturday 12 November 2016

Chahatein aur Ikhtiyaar-e-Zindagi

Rahte nehi khush, Jo sabr ikhtiyar nehi karte,
Jo kuch mila hai us'se bhi toh pyar nehi karte...

Chahatein umr se bhi lambi hoti hai,
Aur zindagi kisi ka intezar nehi karte...

Taqdeer se zyada aur waqt se pehle nehi milta,
fir kyu'n log uske waade'n per aitbaar nehi karte...

Chahte hai ke Arsh-e-Kareem ki Rahmat saibaa'n hojaye,
fir kyu Allah aur uske Rasul ki eta'at nehi karte...

Rahte nehi khush, Jo sabr ikhtiyar nehi karte,
Jo kuch mila hai us'se bhi toh pyar nehi karte...

Written By: Mudassir Kamal


Friday 4 November 2016

Bhopal Fake Encounter aur Sarkar

Kis per bharosa kare aur kis se bache,
Ab unki rahnumai pe kaise yakee'n kare...

Adalat gunahgaroh ko sabut pe tolti hai,
Afsos ke jhute saboot rishwat me bolti hai...

Kitabo'n me likhi baaton se kya matlab hai unko,
Paisa ka nasha hai, sir chard ker bolti hai...

Jise desh masoom kehta hai, U'se ye gunahgaar batati hai,
Bhopal kand ko Sarkar ENCOUNTER batati hai...

Bahut tohmat laga chuke kursiyo ke ghulamo ne,
Ab dekhte hai Sarkar kya bolti hai?

Written By: Mudassir Kamal

Wednesday 2 November 2016

Dil-e-Muztar ko samjhaya bahut hai...

Dil-e-Muztar ko samjhaya bahut hai,
Magar is dil ne tadpaya bahut hai...

Qayamat hai yeh tark-e-arzoo bhi,
Mujhe aksar wo yaad aaya bohut hai...

Magar is dil ne tadpaya bahut hai,
Dil-e-Muztar ko samjhaya bahut hai...

Tabassum bhi , Haya bhi , Berukhi bhi,
Ye andaze sitam, bhaya bohut hai...

Rahi hasti ke is jalte safar main
Tumhari yaad ka saya bohut hai...

Dil-e-Naada'n ki khata sirf itni thi,
ke hum ne usse dil me basaya bahut hai...

Aur wo humse khafa bhi huye toh kya ada se,
ke narazgi bhi sitamgar ki bhaya bahut hai...

Tanhayiyaa'n bhi maqsud kiya humne,
magar uski yaad sataya bahut hai...

Dil-e-Muztar ko samjhaya bahut hai
Magar is dil ne tadpaya bahut hai...


Represented By: Mudassir Kamal

Tuesday 1 November 2016

Acche din kab ayenge Modiji

Jiski sarkar rahegi, uski hukumat rahegi,
Aur bahut saare gunaho ko chupane me,
Rishwat ki bohchaar rahegi...

Yaha'n ka hawa bhi ajab hai,
Siyasat me sab kuch jayaz karte hai,
Yaha insaniyat ke dushman, mazhab me bair karayegi...

Ab Aap hi batado Modiji,
Aur acche din kab ayenge,
Ye toh faqat ek sawal rahegi?

Written By: Mudassir Kamal

Saturday 29 October 2016

Waqt ka Andaz-e-bayaan

Waqt ka andaz-e-bayaan dekho,
Her zakhm pe murham laga deta hai..
Aur jab takleef hoti hai kisi ke chale jaane se,
Dard-e-Dil ko ashko me baha deta hai...

Zindagi me Aamaal ke siva rakha hi kya hai,
warna daulat me itni taqat nehi ke Jannat dila sake...

Aur mujhe shak hai ke mera khuda mujhese raazi nehi, Warna suna hai ke,
Ibadat karne se dil ko sukun mil jaata tha...

Hamein tere her waade pe aitbaar hai,
Magar apna amal, tere hukm ka inkar hai...
Agar tu na bakshega Rabul-Kareem, toh kidhar jayenge,
Hamara toh her rom rom gunahgaar hai...

Written by,
Mudassir Kamal

Ishq nehi hota

Dil ek hai toh kai baar kyu lagaya jaye,
Bus ek Ishq bahut hai agar nibhaya jaye...

Her maslak her mohabbat ishq nehi hota,
Sab logo'n ka mazhab ishq nehi hota...

Jism jahan ho, wo sab, ishq nehi hota,
Humse aisa be-adab ishq nehi hota...

Unko mere bhige takye dikhlado,
Jo ye kehte hai ab Ishq nehi hota...

Humdardi ko humdardi samjha jaye,
Her jazbe ka matlab ishq nehi hota...

Sardi aur garmi ke uzzr nehi chalte,
Mausam dekhker sahab ishq nehi hota...

Sabr karenge jab tak ishq nehi hota,
Dekhenge usko, kab tak ishq nehi hota...

Chehre ki saari raunak urd jayegi,
Haste rahiye jab tak Ishq nehi hota....


Author: Shadab Sahab
Present By: Mudassir Kamal